ansu (hindi version)

"Ansu"- C. Acharya


Mahal, Taj ka maine he banwaya,
Fehrist, Schindler ki bhi maine hee banwayi.
Maine hee bheja usko, rote Devdas ki wor,
Jo mar raha tha, karke apni paro ki khoj.

Mandir, Konark ki choti pe maine he pahunchaya,
Aur wo chalang, jiwan bachanewala.
Nav, Baji Rout ka maine hee tharaya,
Aur goli, chati ki, biratwa jaganewali.

Main he banata hun kabi, jo likhe meri kabita barasnewali.
Num ho agar ankhen, aur behrahe ho ansu,
Nadiyan ban ke phul khile,
Bas behne do ye ansu.

Popular posts from this blog

maa aur chand (hindi)

Love and Nature (2nd version)

The Captain